https://affluentscuffle.com/txmu5h55?key=dddaf40c691d9a83ae6e0ec205d8ba86

Aisi Hi Sard Shaam Thi Woh Bhi - Sad Crying Ghazal

Aisi Hi Sard Shaam Thi Woh Bhi..

Aisi hi sard shaam thi woh bhi,
jab woh mehndi rachaaye haathon mein,
apni aahat ke khauf se larazaan,
soorkh aanchal mein munh chhipaaye hue,
apne khat mujh se lene aayi thi..
Uss ki sehmi hui nigaahon mein,
kitni khamosh iltizaayen thi..
uss ke chehre ki zard rangat mein,
kitni majburiyon ke saaye the..
mere haathon se khat pakadte hi,
jaane kya soch kar achaanak woh,
mera shaana pakad kar roi thi..
uss ke yaqoot rang honthon ke,
kampkapaate hue kinaaron par,
sat beete hue zamaane the,
saikadon ankahe fasaane the..
Sard shaamon mein der tak aksar,
jab ye manzar dikhai deta hai..
ek lamha,  hinaai haathon se..
mujh ko apni taraf bulata hai..
humnashin rooth kar na ja mujh se ..!!
– Amjad Islam Amjad

Aainon Mein Aks Na Hon Toh Hairat Rehti Hai..

Aainon mein aks na hon toh hairat rehti hai,
jaise khaali aankhon mein bhi wehshat rehti hai.
Har dum duniya ke hungaame ghere rakhte the,
jab se tere dhyaan lage hain fursat rehti hai.
Karni hai toh khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat,
baat adhoori reh jaaye toh hasrat rehti hai.
Shehar-e sukhan mein aisa kuchh kar izzat ban jaaye,
sab kuchh mitti ho jaata hai izzat rehti hai.
Bante bante dheh jaati hai dil ki har taameer,
khwaahish ke behroop mein shayad qismat rehti hai.
Saaye larazte rehte hain shehron ki galyion mein,
rehte the insaan jahan ab dehshat rehti hai.
Mausam koi khushboo le kar aate jaate hain,
kya kaya hum ko raat gaye tak wehshat rehti hai.
Dhyaan mein mela sa lagta hai beeti yaadon ka,
aksar uss ke ghum se dil ki sohbat rehti hai.
Phoolon ki takhti par jaise rangon ki tehreer,
lauh-e-sukhan par aise ‘amjad’ shohrat rehti hai. !!
– Amjad Islam Amjad 

Hum Pe Guzre The Ranj Saare Jo Khud Pe Guzre Toh Log Samjhe..

Hum pe guzre the ranj saare jo khud pe guzre toh log samjhe,
jab apni apni mohabbaton ke azaab jhele toh log samjhe.
Woh jin darakhton ki chhaon mein se musaafiron ko utha diya tha,
unhi darakhton se agle mausam jo phal na utre toh log samjhe
Uss ek kachchi si umar waali ke falsafe ko koi na samjha,
jab uss ke kamre se laash nikli  khatoot nikle toh log samjhe.
Woh gaaon ka ek zaeef deh’kaan sadak ke baNne pe kyon khafa tha,
jab uss ke bachche jo shehar ja kar kabhi na laute toh log samjhe. !!

Poochha Kisi Ne Haal Kisi Ka Toh Ro Diye..

Poochha kisi ne haal kisi ka toh ro diye,
paani mein aqs chaand ka dekha toh ro diye.
Naghma kisi ne saaz pe chheda toh ro diye,
ghuncha kisi ne shaakh se toda toh ro diye.
Udta hua ghubaar sar-e-raah dekh kar,
anjaam hum ne ishq ka socha toh ro diye.
Baadal fiza mein aap ki tasweer ban gaye,
saaya koi khyaal se guzra toh ro diye.
Rang-e-shafaq se aag shagufon mein lag gayi,
saghar’ humare haath se chhalka toh ro diye. !!
– Saghar Siddiqui

Uss Ke Aansoo Hi Bataate The Na Ab Lautega Woh..

Uss ke aansoo hi bataate the na ab lautega woh,
iss se pehle toh bichhadte waqt yun rota na tha …!

Aur Chupke Chupke Ro Lena.. 

Aankhen Shayari, Aansoo/Ashk Shayari, Barsaat/Baarish Shayari, Dhokha Shayari, Ghum Shayari, Nazms, Sad Poetry, Yaad Shayari

Jab seena ghum se bojhal ho 
aur yaad kisi ki aati ho
tab kamre mein band ho jana
aur chupke chupke ro lena..
Jab aankhen baaghi ho jaayen
aur yaad mein meri bhar aayen
phir khud ko dhokha mat dena
aur chupke chupke ro lena..
Jab palken karb se moondi ho
aur sab samjhen tum sote ho 
tab munh pe takiya rakh lena
aur chupke chupke ro lena..
Ye duniya zaalim duniya hai
ye baat bahut phailaayegi
tum saamne sab ke chup rehna
aur chupke chupke ro lena..
Jab baarish chehra dho daale
aur ashq bhi boonden lagti ho 
woh lamha hargiz mat khona
aur chupke chupke ro lena …

Zindagi Se Badi Koi Saza Hi Nahin..

Zindagi se badi koi saza hi nahin,
aur kya jurm hai pata hi nahin.
Jadd do chaandi mein chaahe sone mein,
aaina jhooth bolta hi nahin.
Sach ghate ya badhe toh sach na rahe,
jhooth ki koi intehaa hi nahin.
Itne hisson mein bat gaya hun main,
mere hisse mein kuchh bacha hi nahin. !!

No comments:

Post a Comment