https://affluentscuffle.com/txmu5h55?key=dddaf40c691d9a83ae6e0ec205d8ba86

Abbas Tabish Poetry- Shayari- Sad- Best- Love Poetry

Woh Bhoolta hai na Dil mein Utarta hai Mujhe
Hamesha Maar Muhabbat ki Marta hai Mujhe
Mein is ka Lamha Mojood hon Magar Woh Shakhs
Fazool Waqt Samjh ke Guzarta hai Mujhe
Bazahir aisa Nahi per(tree) is haweli ka
Hawa chale to Buhat Phool Marta hai Mujhe
Mein is ke Hath se jata hon Maal o Zar ki Tarah
Woh roz Qarz samajh kar Utarta hai Mujhe

*************************

Aye Dost dua aur Musafat ko Bahum rakh
Yeh Meri Hatheli hai yahan Pehla Qadam rakh
Aise to Zamana Mujhe Jine Nahi de ga
Mein kuch bhi nahi Tera Magar MeraBharm rakh
Is Baat peh Dunya se Meri Banti nahi hai
Kehti hai keh Talwar Utha aur Qalam rakh
Mein jub bhi Kahin Raah mein Girne laga Tabish
Aawaz si Aayi mere Qadmon peh Qadam rakh

*************************

Pani Aaankh mein Bhar kar Laya ja sakta hai
Ab bhi Jalta Shehar Bachaya ja skta hai
Aik Muhabbat aur Woh Bhi Nakam Muhabbat
Lekin is se Kaam Chalaya Ja skta hai
Dil par Pani Pine aati hain Umeedein
Is Chashme Mein Zehar Milaya Ja skta hai
Mujh Gumnam se Poochte hain Farhad o Majnu
Ishq mein ketna Naam Kamaya Ja skta hai
Yeh Mehtab yeh Raat ki peshani ka Ghao
Aisa Zakham to Dil par Khaya Ja skta hai
Phata Purana Khawab hai mera Phir Bhi Tabish
Is mein Apna Aap chupaya ja skta hai

*************************

Na Tujh se hai na Gilah Aasman se Hoga
Teri Judayi ka Jhagra Jahan se hoga
Tumhare Mere Talluq ka log Poochte hain
Keh jaise Faislah mere Biyan se hoga
Agar Yunhi Mujhe rakha gia Akele mein
Bar aamad aur Koi is Makan se hoga
Judayi tai thi Magar yeh Kabhi na socha tha
Keh to juda bhi Judaganah Shan se hoga
Guzar rahe hain mere din isi Tafakhir mein
Keh Agla Qes mere Khandan se Hoga

*************************

Meri Tunhayi Barhate hain Chale Jate hain
Hans Talab peh Aaate hain Chale Jate hain
Is liye ab mein Kisi ko Nahi Jane deta
Jo Mujhe Chor ke Jate hain Chale Jate hain
Meri Aankhon se Baha karti hai Un ki Khushboo
Raftgan Khawab mein Aate hain Chale Jate hain
Kub Tumhein Ishq peh Majboor kia hai Hum ne
Hum to bas Yaad Dilate hain Chale Jate hain
Aap ko kon Tamashayi Samjhta hai Yahan
Aap to Aag Lagate hain Chale Jate hain
Shadi Murg ka Mahol Bana Rehta hai
Aap Aate hain Tulate hain Chale Jate hain

*************************


Baton Baton mein Bicharne ka Ishara kar kay
Khood bhi woh Roya Buhat hum se Kinarah kar kay
Sochta rehta hon Tanhayi mein Anjam Khaloos
Phir usi Jurm e Muhabbat ko Dobarah kar ke
Jagmaga di hain Tere Shehar ki Galyan mein ne
Apne har Ashk ko Palkon peh Sitara kar ke
Dekh lete hain Chalo Hoslah apne Dil ka
Aur kuch roz Tere Sath Guzarah kar ke

*************************
abbas tabish poetry, urdu love poetry of abbas tabish, abbas tabish shayari, abbas tabish ghazals, poetry of abbas tabish, abbas tabish best poetry, 2 Line Poetry,4 Line Poetry,Aansu Shayari,Afsos Shayari,Badnam Shayari,Barish Shayari,Bewafa Shayari,Birthday Shayari,Dard Shayari,December Poetry,Dil Poetry in Urdu,Dosti Shayari,Dua Poetry,Eid Poetry,Funny Shayari,Husn Poetry,Independence Day Poetry,Inspirational Poetry,Intezaar Shayari,Ishq Shayari,Islamic Poetry,Judai Shayari,Khudi Shayari,Love Poetry,Mother’s Day Poetry,Punjabi Shayari,Romantic Shayari,Tanhai Poetry,Udas Poetry,Umeed Shayari,Urdu Ghazal Shayari,Urdu Poetry Images,Wafa Poetry,Yaad Shayari,Zindagi Shayari,Urdu Shairi becomes very famous in Pakisan. It is always a pleasure to hear from fellow Urdu poetry lovers. Urdu poetry has many different types and forms. Urdu shairi includes Ghazals, Poems, Urdu Poetry. Pakistani poets becomes popular because of their romantic poetry specially Ghalib, Ahmed faraz, Habib Jalib, Sagar Siddiqui, Muneer Niazi, Mohsin Naqvi, Farhat Abbas Shah. You can read the poetry of many famous Urdu poets and funny Urdu poetry of famous poets,urdu poetry, urdu sms, urdu shayari, urdu love shayari, urdu romantic shayari, urdu funny shayari, urdu sher o shayari, urdu dard bhari shayari, urdu bewafa shayari, urdu sad poetry sms, urdu poetry sms, urdu love sms, urdu funny sms, urdu romantic sms, urdu birthday sms, urdu ghazals, urdu sad ghazals, urdu romantic ghazals, urdu love ghazals, urdu best ghazals sms, ghalib poetry, parveen shakir poetry, iqbal poetry, noshi gilani poetry, amir bin ali poetry, faraz poetry, faiz poetry, mohsin naqvi poetry, Nasir Kazmi Poetry, Meer Taqi Meer Poetry

No comments:

Post a Comment