https://affluentscuffle.com/txmu5h55?key=dddaf40c691d9a83ae6e0ec205d8ba86

Berukhi Poetry, Shayari in Urdu and Hindi

Dekhi hai be rukhi ki aaj hum ne inteha
Hum par nazar pari to woh mehfil se uth gaye

Be rukhi se sahi ik baar mujhe dekh to le
Ik sitam aur jb itni enayat ki hai


Dekha jo be rukhi se to hairat hui mujhe
Dunya to be wafa thi magar tum ko kia hua

Mere har amal ko nazar mein rakh
Meri chahaton ka silah na de
Mein chiragh aakhri shab sahi
Mujhe be rukhi ki hawa na de

In se shikwah be rukhi
Apni tqdeer so gai ho gi

Mehroomiyon ke dor mein jan se azeez log
Milte to hain zaroor magar be rukhi ke sath

Woh be rukhi se dekhte hain, dekhte to hain
Mein khush naseeb honk eh kisi ki nazar mein hon



Fun jo nadar tk nahi puncha
Abhi meyar tk nahi punhcha
Is ne barwaqt be rukhi barti
Shoq aazar tk nahi puncha

Aankh bhar bhar aai aur dhundla gaye manziar tamam
Kisi qadar tikha hai teri be rukhi ka zaiqah

Tum idhar rukhsat huye jaan idhar nikli meri
Kaise kaise haadse is sadgi se ho gaye
Kuch hamein bhi maut ki aarzu thi ishq mein
Raaste kuch aasan teri be rukhi se ho gaye

Muhabbat, adawat wafa, be rukhi
Karaye ke ghar the badlte rahe

Mana keh gham ke baad musarrat zaroor hai
Lekin jiye ga kon teri be rukhi ke baad



Ghar doob giya aur inhein aawaz nahi di
Halankeh mere silsile is paar buhat the
Yeh be rukhi ik roz to mqsoom thi apni
Hum teri twajah ke talabgar buhat the

Khizan ka dor teri be rukhi ko kehte hain
Bahaar teri tawajjah ka naam hai saaqi

Kahan se seekh li tum ne yeh be rukhi ki ada
Kabhi to hans ke milo hum se dosto ki tarah

Be rukhi is se bari aur bhala kia hogi
Aik muddat se hamein is ne sataya bhi nahi

Pehle bhi log aaye ketne hi zindagi mein
Woh har tarah se lekin auron se tha juda sa
Tewar the be rukhi ke andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha lekin lgta tha aashna sa



Hadse kia kia tumhari be rukhi se ho gaye
Sari dunya ke liye hum ajnabi se ho gaye

Tumhari be rukhi par bhi luta di zindagi hum ne
Hamara haal kia hota agar tum meharbaan hote

De rahi hai maza be rukhi aap ki
Aap bolein na bolein khushi aap ki

2 Line Poetry,4 Line Poetry,Aansu Shayari,Afsos Shayari,Badnam Shayari,Barish Shayari,Bewafa Shayari,Birthday Shayari,Dard Shayari,December Poetry,Dil Poetry in Urdu,Dosti Shayari,Dua Poetry,Eid Poetry,Funny Shayari,Husn Poetry,Independence Day Poetry,Inspirational Poetry,Intezaar Shayari,Ishq Shayari,Islamic Poetry,Judai Shayari,Khudi Shayari,Love Poetry,Mother’s Day Poetry,Punjabi Shayari,Romantic Shayari,Tanhai Poetry,Udas Poetry,Umeed Shayari,Urdu Ghazal Shayari,Urdu Poetry Images,Wafa Poetry,Yaad Shayari,Zindagi Shayari,Urdu Shairi becomes very famous in Pakisan. It is always a pleasure to hear from fellow Urdu poetry lovers. Urdu poetry has many different types and forms. Urdu shairi includes Ghazals, Poems, Urdu Poetry. Pakistani poets becomes popular because of their romantic poetry specially Ghalib, Ahmed faraz, Habib Jalib, Sagar Siddiqui, Muneer Niazi, Mohsin Naqvi, Farhat Abbas Shah. You can read the poetry of many famous Urdu poets and funny Urdu poetry of famous poets,urdu poetry, urdu sms, urdu shayari, urdu love shayari, urdu romantic shayari, urdu funny shayari, urdu sher o shayari, urdu dard bhari shayari, urdu bewafa shayari, urdu sad poetry sms, urdu poetry sms, urdu love sms, urdu funny sms, urdu romantic sms, urdu birthday sms, urdu ghazals, urdu sad ghazals, urdu romantic ghazals, urdu love ghazals, urdu best ghazals sms, ghalib poetry, parveen shakir poetry, iqbal poetry, noshi gilani poetry, amir bin ali poetry, faraz poetry, faiz poetry, mohsin naqvi poetry, Nasir Kazmi Poetry, Meer Taqi Meer Poetry

No comments:

Post a Comment