December Poetry in Hindi and Urdu
Collection of December poetry in urdu, best december poetry in urdu, poetry in urdu 2 lines, romantic poetry in urdu, december rain poetry in urdu, december poetry wasi shah, december poetry sad, december nazam urdu and hindiHum ne khushyon ki tarah Dhukh bhi Akethe dekhe
Safa e zeesht ko plto ge to yaad aayon ga
Isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to yaad aayon ga
Sard raaton ke mehakte huye sannaton mein
Jab kisi phool ko chumo ge to yaad aayon ga
Ab to yeh ashq mein honton se chura leta hon
Hath se inhein pocho ge to yaad aayon ga
Saal pehnaaye ga kon December mein tumhein
Barishon mein kabhi bhigo ge to yaad ayon ga
Is mein shamil hai mere bakht ki tariki bhi
Tum siyah rung jo pehno ge to yaad aayon ga
Hum ne khushyon ki tarah Dhukh bhi akethe dekhe
Safa e zeesht ko plto ge to yaad aayon ga
Isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to yaad aayon ga
****************************
Sard Raaton ki bhigi tnhai
Barasti boondon ke choote hi sulgta sa badan
Biti yaadon bite lmhon mein sulagta hua dil
Yun guzre saal ke
Sare dukh aur sare gham
Akela December hi seh leta hai
****************************
December ja raha hai
Aur naye sandese de raha hai
Buhat se wadon ke
Toot jane ke
Kuch naye rishton ki
Chahaton mein lipti barishon ke
Lekin dehleez par sawali bana
Phir naya saal aa mojood hai
Kisi qarz khua ki tarah
Taqaze ki chadar urhe
Lekin zaid mere hath phir khali hain
****************************
Yeh saal bhi Udas raha rooth kar gia
Tujh se mile beghair guzar gia
Umer rawan Khazan ki hawa se bhi tez thi
Har lamha barg e zard ki surat bikhar gia
Dil mein chatakhte chatakhte wehmon ke bojh se
Woh khof tha keh raat ko sote mein dar gia
Jo baat mutbar thi woh sar se guzar gayi
Jo harf sarsari tha woh dil mein utar gaya
Hum aks e khoon e dil hi lutate phire magar
Woh shakhs aansooyon ki dhanak mein nikhar gaya
Mohsin yeh rung o roop yeh ronaq baja magar
Mein zinda kya rahon keh mera ji to bhar gia
****************************
December ki Sard Raaton mein
Jab der tk teri Yaadon ke jlwo mein
Chalte chalte thak sa jata hon, Sochta hon
Teri judai mein ketna badal gia gon
Dil se lahoo ki boondein ras ras kar
Zameen bos hoti hain
Aankhon se jb ashkon ki lahoo na khatam hoti hai, sochata hon
Mein to us qareeb ul marg shaksh se bhi bad tar hon
Jo mrne ki khuahish mein maut ko aawaz de aur zaid mout
Use choo kar guzar jaye
****************************
2 Line Poetry,4 Line Poetry,Aansu Shayari,Afsos Shayari,Badnam Shayari,Barish Shayari,Bewafa Shayari,Birthday Shayari,Dard Shayari,December Poetry,Dil Poetry in Urdu,Dosti Shayari,Dua Poetry,Eid Poetry,Funny Shayari,Husn Poetry,Independence Day Poetry,Inspirational Poetry,Intezaar Shayari,Ishq Shayari,Islamic Poetry,Judai Shayari,Khudi Shayari,Love Poetry,Mother’s Day Poetry,Punjabi Shayari,Romantic Shayari,Tanhai Poetry,Udas Poetry,Umeed Shayari,Urdu Ghazal Shayari,Urdu Poetry Images,Wafa Poetry,Yaad Shayari,Zindagi Shayari
No comments:
Post a Comment