aag the ibtidā-e-ishq meñ ham
ab jo haiñ ḳhaak intihā hai ye
ishq hai ishq ye mazāq nahīñ
chand lamhoñ meñ faisla na karo
ishq ik 'mīr' bhārī patthar hai
kab ye tujh nā-tavāñ se uThtā hai
ishq jab tak na kar chuke rusvā
aadmī kaam kā nahīñ hotā
ishq nāzuk-mizāj hai behad
aql kā bojh uThā nahīñ saktā
ishq ne 'ġhālib' nikammā kar diyā
varna ham bhī aadmī the kaam ke
ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib'
ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane
jazba-e-ishq salāmat hai to inshā-allāh
kachche dhāge se chale ā.eñge sarkār bañdhe
jise ishq kā tiir kaarī lage
use zindagī kyuuñ na bhārī lage
koī samjhe to ek baat kahūñ
ishq taufīq hai gunāh nahīñ
kuchh khel nahīñ hai ishq karnā
ye zindagī bhar kā rat-jagā hai
kūcha-e-ishq meñ nikal aayā
jis ko ḳhāna-ḳharāb honā thā
maktab-e-ishq kā dastūr nirālā dekhā
us ko chhuTTī na milī jis ko sabaq yaad huā
raah-e-duur-e-ishq meñ rotā hai kyā
aage aage dekhiye hotā hai kyā
saḳht kāfir thā jin ne pahle 'mīr'
maz.hab-e-ishq iḳhtiyār kiyā
keywords :- sad ishq poetry in urdu,ishq'
poetry in urdu 2 lines,ishq poetry ghalib,ishq poetry
punjabi,ishq poetry in hindi,ishq poetry in english,
ishq ghazal in urdu,2 line ishq shayari,
mohabbat poetry sms,mohabbat poetry
ghazal,mohabbat poetry 2 lines,izhar e mohabbat
poetry in urdu,anjam e muhabbat poetry,
mohabbat poetry images,mohabbat poetry
facebook,mohabbat bhari shayari urdu
No comments:
Post a Comment