https://affluentscuffle.com/txmu5h55?key=dddaf40c691d9a83ae6e0ec205d8ba86

Best Sad Ghazals || New Urdu Ghazal




Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liyaa
(Ahmad Faraz)
 ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu,top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare Woh

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye KhaRe Woh 
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool PaRe Woh

Bhoolaa Nahi Dil Hijr Ke Lamhaat KaRe Woh 
Ratein to BaRi ThiN Hi Magar Din Bhi BaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai BigRa Hai Agar Woh 
Us Ki To Ye Aadat K HawaaoN Se LaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar Woh 
Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se LaRe Woh

Alfaz Thay Us Ke K Bahaaron K Payaamaat 
Khushbu Si Barasne Lagi Youn Phool JhaRe Woh

Har Shakhs Mujhe Tujh Se Juda Karne Ka KhaaahaN 
Sun Paye Agar Aik To Das Ja K JaRe Woh

Bachche Ki Tarah Chand Ko Choone Ki Tamanna 
Dil Ko Koi Shai De De To Kia Kia Na ARe Woh

ToofaaN Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Dejiye 
Kya BhooL Gaye Aap Mere Kachche GhaRe Woh!
(Parvin Shakir)

 best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry,urdu shairy

ZamiiN Kaisi Lagegi Aasmaan Kaisa Lagega


ZamiiN kaisi lagegi, aasman kaisa lagega
Hamare baad tumko ye jahaaN kaisa lagega
Thake haare hue suraj ki bhigi raushni men
HawaaoN se ulajhta baadbaaN kaisa lagega
Jame qadmon ke niche phisalti jaegi ret
Bikhar jaegi jab umr-e-rawaaN kaisa lagega
Isi miTTi men mil jaegi punji umr bhar ki
Giregi jis ghaRi diwar-e-jaaN kaisa lagega
Bahut itra rahe ho dil ki bazi jeetne par
Ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega
Wo jis ke baad hogi ek musalsal be-neyazi
GhaRi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega
Abhi se kya bataen marg-e-majnun ki KHabar par
Suluk-e-kucha-e-na-mehrbaaN kaisa lagega
Batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega
Sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega
(Iftekhar Arif)
best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal,ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu,top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy

Dil Girafta Hi Sahi Bazm Sajaali Jaye

دل گرفتہ ہی سہی بزم سجالی جائے
یادِ جاناں سے کوہئ شام نہ خالی جائے
رفتہ رفتہ یہی زنداں میں بدل جاتے ہیں
اب کسی شہر کی بنیاد نہ ڈالی جائے
مصحفِ رُخ ہے کسی کا کہ بیاضِ حافظ
ایسے چہرے سے کبھی فال نکالی جائے
وہ مروّت سے ملاِ ہے تو جھکا دوں گردن
میرےدشمن کا کوئی وار نہ خالی جائے
بے نوا شہر کا سایہ ہےمرے دل پہ فراز
کس طرح سے مری آشفتہ خیالی جا ئے
احمد فراز
Dil giraftaa hi sahii bazm sajaali jaye
Yaad E janaN se koi shaam na khaali jaye
Rafta-rafta yahi zandaaN mein badal jate hain
Ab kisi shahr ki buniyaad na daali jaye
Mushaf E rukh hai kisi ka K beyaaz E Hafiz
Aise chehre se kabhi faal nikaali jaye
Wo murawwat se mila hai to jhukadun gardan
Mere dushman ka koi waar na khaali jaaye
Be-nawaa shahr ka saaya hai mere dil pe ‘Faraz’
Kis tarah se meri aashufta khyaali jaye
(Ahmad Faraz)
best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal,ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu,top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy

Ab Mehfil E Ghazal Mein Ghazal Aashna Hai Kaun?


Renown Urdu poet Dr. Kalim Ajiz passed away yesterday. It is a tribute to him from all poetry lovers.
اب محفلِ غزل میں غزل آشنا ہے کون؟
مانا کہ ایک ہم ہیں، مگر دُوسرا ہے کون؟
قاتل نے جب پُکارا کہ اہلِ وفا ہے کون؟
سب لوگ جب خموش رہے، بول اُٹھا ہے کون؟
تُم اپنی انجُمن کا ذرا جائزہ تو لو
کہنے کو تو چراغ بہت تھے، جلا ہے کون؟
دعویٰ سُخن کا سب کو ہے لیکن تمام عُمر
اک دشمنِ سخن سے مُخاطب رہا ہے کون؟
سب دیکھتے جدھر ہیں اُدھر کیا ہے؟ کچھ نہیں!
ہم دیکھتے جِدھر ہیں اُدھر دیکھتا ہے کون؟
تصویرِ میکدہ میری غزلوں میں دیکھئیے
سنبھلا رہا ہے کون، نشے میں گِرا ہے کون؟
مَیں ایک نقشِ پا ہُوں مگر مَیں بتاؤنگا
اِس راہ سے جو گزرا ہے وہ قافلہ ہے کون!
سب دوست ایک ایک کرکے مُجھے چھوڑتے گئے
دُشمن بھی دنگ ہے کہ یہ تنہا کھڑا ہے کون
گھر بھی ترا، گلی بھی تری، شہر بھی ترا
جو چاہے جِس کو کہہ دے، تُجھے روکتا ہے کون؟
عاجؔز یہ کِس سے بات کرو ہو غزل میں تُم؟
پردہ اُٹھاؤ ہم بھی تو دیکھیں چُھپا ہے کون؟
~~~~~~~***~~~~~~~
Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?
Maanaa K aek hum hain magar dusraa hai kaun?
Qaatil ne jab pukaara K ahl e wafaa hai kaun?
Sab log jab khamosh rahe bol uTha hai kaun?
Tum apni anjuman ka zaraa jaayezaaH to lo
Kahne ko to chiraagh bahut the, jala hai kaun?
Daa’va sukhan ka sab ko hai lekin tamaam umr
Ek dushman e sukhan se mukhatib raha hai kaun?
Sab dekhte jidhar hain udha kya hai kuchh nahi
Hum dekhte jidhar hain udhar dekhta hai kuan?
Tasveer e maikada meri ghazloN mein dekhiye
Sanbhla raha hai kaun, nashe mein gira hai kaun?
Main ek naqsh e paa hun magar main bataunga
Is raah se jo guzra hai woh qaafila hai kaun?
Sab dost aek ek kar ke mujhe chhoRte gaye
Dushman bhi dang hai k ye tanha khaRa hai kaun?
Ghar bhi tera, gali bhi teri, shahr bhi tera
Jo chahe jis ko kah de tujhe rokta hai kaun?
‘Aajiz’ ye kis se baat karo ho ghazal mein tum?
Parda uThao, hum bhi to dekhien chhupa hai kaun?

No comments:

Post a Comment