https://affluentscuffle.com/txmu5h55?key=dddaf40c691d9a83ae6e0ec205d8ba86

Top New Ghazals in Urdu / Hindi

Chhoota Jo Tera Haath Toh Hum Toot ke Roye..

tum jo na rahe saath, toh hum toot ke roye.
Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne
paayi jo ye saughat, toh hum toot ke roye.
Imkaan na tha door talak tajdeed-e taalluq ka
dekhe jo ye haalaat, toh hum toot ke roye.
Anjaan the hum ab tak dard ki soorat se
hui jo mulaaqaat, toh hum toot ke roye.
Jeeti thi sadaa hum ne har baazi tere saath
tanha jo sahi maat, toh hum toot ke roye
Logon ne bahut poochha sabab veeraani-e dil ka
jab ho na saki baat, toh hum toot ke roye.
Thi dhoop bahut tezz har simt judaai ki
barsi jo na barsaat, toh hum toot ke roye.
Zadd mein tha khizaaon ki ab ke dil-e barbaad
bichhde jo shajar-paat, toh hum toot ke roye.
Din bhar toh rahe chup, ki duniya ki nazar thi
bheegi jo siyaah raat, toh hum toot ke roye.
Samjha tha sadaa tujh ko apna hi koi hissa
tukdon mein bati zaat, toh hum toot ke roye.
Hum karte rahe aaj talak uss ‘chaand’ ki khwaahish
yaad aayi jo auqaat, toh hum toot ke roye .!!

Shaam ka Mausam Khyaal- O Khwaab Hua..

Sukh ka mausam khayaal-o khwaab hua
saans lena bhi ab azaab hua.
Aankhon-aankhon padha karo jazbe
chehra-chehra khuli kitaab hua.
Kaun maujon mein gholta hai lahoo
surkh’roo kis liye chanaab hua.
Roshni uske aks ki dekho
aaina shab ko aaftaab hua.
Ek falak’naaz ki mohabbat mein 
main hawaaon ka hum-rakaab hua.
Adl-parwar kbhi hisaab toh kar
zulm kis kis pe be-hisaab hua.
Kiske sar par sinaa ko rashk aaya
kaun maqtal mein kaamyaab hua.
Ab ke hijraan ki dhoop mein ‘Mohsin 
rang uska bhi kuchh kharaab hua .!!

Mohsin Naqvi Shayari Collection


Jin Par Sitam Tamaam Qafas ki Fiza ke The…


Jin par sitam tamaam qafas ki fizaa ke the, 
mujrim woh log apni shikast-e anaa ke the. !
Ae dasht-e khaar hum se hisaab-e karam na maang, 
paanv mein aable the magar ibtedaa ke the. !
Lab pe sajaa liye the yun hi ajnabi se naam, 
dil mein tamaam zakhm kisi aashna ke the. !
Patton se bhar rahe the hawaaon ki jholiyaan,
girte hue shajar bhi sakhi intehaa ke the. !
Gahre samandaron mein kahan aks-e aasmaan,
paani mein jitne rang the saare khalaa ke the. !
Ab dhool odhna bhi mayassar nahin jinhe,
waaris woh ahl-e dil kabhi arz-o samaa ke the. !
Jin se ulajh rahi thi hawaa’on ki shorishen, 
Mohsin’ woh daayre toh mere naqsh-e paa ke the. !!
All Mohsin Naqvi Poetry collection

Wusat-e Chashm-e Tar Bhi Dekhenge..

Mohsin Naqvi Ghazal

Wus’at-e chashm-e tar bhi dekhenge,
hum tujhe bhool kar bhi dekhenge. !
Hijr ki shab se hausle apne,
bach gaye toh sahar bhi dekhenge. !
Raat hone do, log sone do
chaand ko dar-ba dar bhi dekhenge. !
Ek duaa dil se chhup ke maangi thi,
us duaa ka asar bhi dekhenge. !
Ek puraana safar toh khatm hua, 
ek nayi rahguzar bhi dekhenge. !
Gin toh lene do be’kafan laashen, 
be’sadaa baam-o dar bhi dekhenge. !
Chhed kar dil ki raakh ko ‘Mohsin 
ab ke raqs-e sharaar bhi dekhenge. !!

Ronaq-e Rahguzar Hai Tanhaai..


Ronaq-e rahguzar hai tanhaai, 
phir meri humsafar hai tanhaai. !
Chaand kyon mand padta jata hai, 
tu hai ya baam par hai tanhaai. !
Kya maseehaa’on ko talaash karen,
zakhm ki chaaragar hai tanhaai. !
Shaam-e ghum odh kar hi so jaao, 
shaam-e ghum se udhar hai tanhaai. !
Kirchiyon se bhi aks chunti hai, 
sangdil kis qadar hai tanhaai. !
Jinke mehmaan hon shab ke andeshe, 
aise logon ka ghar hai tanhaai. !
Lamha bhar ko hai saath saans’on ka, 
aur phir umar bhar hai tanhaai. !
Jaane kis ki talaash mein ‘Mohsin 
aaj kal dar-ba dar hai tanhaai. !!
Mohsin Naqvi Poetry Collection

Jis Ki Qismat Hi Dar-ba Dar Thehre..


Mohsin Naqvi Poetry

Jis ki qismat hi dar-ba dar thahre,
woh bujha chaand kis ke ghar thahre. !
Umar guzri sanwaarte dil ko, 
kaash woh dil mein lamha bhar thahre. !
Usey kya poochhna safar ki thakan, 
jis ki manzil hi rahguzar thahre. !
Uski qeemat, azaab sooraj ka
woh sitaara jo taa-sahar thahre. !
Uski aankhen udhar gayi hi nahin, 
log kya kya na mod par thahre. !
Hum se kaisa hasad hawa-e safar, 
hum toh gard-e raah-e safar thahre. !
Jhuk ke choome na kyon falak ‘Mohsin 
jab sinaa par kisi ka sar thahre. !! 

Honge Juda Hum is Tarah Imkaan Toh Na Tha..


Honge juda hum is tarah imkaan toh na tha,
ye dil kabhi bhi is tarah weeraan toh na tha. !
Jaise hua hai ab ke woh halaat se mere,
pahle kabhi woh is tarah anjaan toh na tha. !
Woh shehar se gaya hai toh raunaq bhi le gaya,
ye shehar is tarah kabhi sunsaan toh na tha. !
Ek Pyar ki jaageer ka maalik tha main kabhi,
pahle se yun hi be’sar-o saamaan toh na tha. !
Mohsin’ hum ne ishq mein paaya naffa bahut,
is kaarobaar mein koi nuqsaan toh na tha. !! 

Keywords:- Aanis Moeen,Aankhen Shayari,Aansoo/Ashk Shayari,Aarzoo Shayari,Abdul Hamid Adam,Ada Jafri,Adeeb Saharanpuri,Ahmad Faraz,Aitbaar Shayari,Aitbar Sajid,Akbar Allahabadi,Allama Iqbal,Amjad Islam Amjad,Bachpan Shayari,Barsaat/Baarish Shayari,Bashir Badr,Bekhud Dehlvi,Bewafa Shayari,Chaand Shayari,Chiraagh Shayari,Dard Bhari Shayari,December Shayari,Depth Poems,Desert Poems,Dhokha Shayari,Dosti Shayari,Dua Shayari,Dukh shayari,Dushyant Kumar,Ehsaas Shayari,Ejaz Popular Meeruthi,English Poems Poetry,Faiz Ahmed Faiz,Fakhira Batool,Fareb Shayari,Fariyaad Shayari,Fear Poems,Firaq Gorakhpuri,Four Lines Poetry,Freedom Poems,Gaaon Poetry,Gardish Shayari,Ghazals,Ghum Shayari,Gulaab Shayari,Gulzar,Habib Jalib,Hafeez Jalandhari,Heartbreak Poems,Heaven Poems,Hijr Poetry,Hindi Shayari,Ibn-e-Insha,Intezaar Poetry,Jaun Eliya,Javed Akhtar,Jigar Moradabadi,Judaai Shayari,Kaifi Azmi,Khamoshi Shayari/ Shair,Khuda Poetry,Khushboo Shayari,Khwaab shayari,Knowledge Poems,Love Shayari,Maa Shayari,Maazi Shayari,Manzil Shayari,Mausam Shayari,Maya Angelou,Mazahiya Shayari,Meer Anees,Meer Taqi Meer,Midhat ul Akhtar,Mind Poems,Mirza Ghalib,Miss You Poems,Mohsin Naqvi,Mohsin Zaidi,Mulaqaat Shayari,Munawwar Rana,Munir Niazi,Naraaj-Khafa Shayari,Naseeb Poetry,Nasha Shayari,Nasir Kazmi,Nazms,Neend Shayari,Nida Fazli,Noshi Gilani,Painful Poems,Pardes Poetry,Parveen Shakir,Patthar Shayari,Phool Shayari,Poets,Qabar Shayari,Qateel Shifai,Raat Shayari,Rahat Indori,Rasta Shayari,Saaya Shayari,Sad Love Poems,Sad Poetry,Safar Shayari,Saghar Siddiqui,Sahir Ludhianvi,Samandar Shayari,Sandeep Bhutani,Shaam Shayari,Shahryar,shakeel azmi ???? ????,Shehar Shayari,Sooraj Shayari,Sudarshan Faakir,Tanhaai shayari,Tasweer Shayari,Truth Poems,Two Line Poetry,Umeed Shayari,Urdu Unknown Poet,Wada Shayari,Wafa Shayari,Wajida Tabassum,Wasi Shah,Wasim Barelvi,Yaad Shayari,Zaat Poetry,Zakhm Shayari,Zindagi Shayari,Zulf Shayari

No comments:

Post a Comment