Bichhde Hue Yaaron Ki Sada Kyon Nahi Aati..
Mohsin Naqvi Poetry
Bichhde hue yaaron ki sada kyon nahin aati,
ab roozan-e zindaan se hawa kyon nahin aati .!
ab roozan-e zindaan se hawa kyon nahin aati .!
Tu ab bhi salaamat hai safar mein toh musaafir,
tere liye honthon pe duaa kyon nahin aati .!
tere liye honthon pe duaa kyon nahin aati .!
Patthar ho toh kyon khauf-e shab-e ghum se ho larzaan,
insaan ho toh jeene ki adaa kyon nahin aati .!
insaan ho toh jeene ki adaa kyon nahin aati .!
Ek pedd ke saaye se hawa poochh rahi hai,
ab dasht mein makhlooq-e Khuda kyon nahin aati .!
ab dasht mein makhlooq-e Khuda kyon nahin aati .!
Chehron pe woh sarson ki dhanak kya hui yaaro,
haath’on se woh khushbu-e hina kyon nahin aati .!
haath’on se woh khushbu-e hina kyon nahin aati .!
Basti ke sabhi log salaamat hain toh ‘Mohsin
aawaaz koi apne siwa kyon nahin aati .!!
aawaaz koi apne siwa kyon nahin aati .!!
Tum Nahin Bachpan ki Zid Mein Tum si Kitni Ladkiyan..
Mohsin Naqvi Poetry
Tum nahin, bachpan ki zidd mein tum si kitni ladkiyaan,
ab paraaye daaman’on par kaadhti hain titliyaan. !
ab paraaye daaman’on par kaadhti hain titliyaan. !
Dil mein tanhaai ka sannaata azaab-e hashr hai,
raat bhar bajti hain mere ghar ki saari khidkiyaan. !
raat bhar bajti hain mere ghar ki saari khidkiyaan. !
Main shikasta aainon ke shehar mein phirta raha,
haath mein tera pata, paanv mein chubhti kirchiyaan. !
haath mein tera pata, paanv mein chubhti kirchiyaan. !
Doobne waalon ki aawaaz’en khalaa mein kho gayi,
log chunte hi rahe saahil se taaza seepiyaan. !
log chunte hi rahe saahil se taaza seepiyaan. !
Hijr ke saare fasaane, sab bahaane, sach magar
kuchh masaa’el aur bhi the, uske mere darmiyaan. !
kuchh masaa’el aur bhi the, uske mere darmiyaan. !
Roshni maangi thi, sunte hain buzurgon ne kabhi,
dhoondhti hain bastiyon ko ab bhi andhi bijliyaan. !
dhoondhti hain bastiyon ko ab bhi andhi bijliyaan. !
Ab lute laash’on, jale khemon ka pursa kis ko dein
reh gayi sehra mein bachchon ki adhoori hichkiyaan. !
reh gayi sehra mein bachchon ki adhoori hichkiyaan. !
Hum garebaanon se jayenge toh kya ‘Mohsin
mere doston ke haath toh reh jaayengi kuchh dhajjiyaan. !!
mere doston ke haath toh reh jaayengi kuchh dhajjiyaan. !!
Ab Is Se Barh Kar Bhala Kya Ho Viraasat Faqeer Ki..
Ab is se badh kar bhalaa kya ho viraasat faqeer ki?
Bachchon ko apni bheekh ke pyaale toh de gaya …!
Bachchon ko apni bheekh ke pyaale toh de gaya …!
– Mosin Naqvi
Begunaahi Ki Saza Kaat Raha Hoon..
Be’gunaahi ki sazaa kaat raha hoon,
bas itna hi kaha tha ki wahan laash padi hai …!
bas itna hi kaha tha ki wahan laash padi hai …!
Bahar Bhi Ab Andar Jaisa Sannata Hai..
Bahar bhi ab andar jaisa sannaata hai,
dariya ke us paar bhi gehra sannaata hai.
dariya ke us paar bhi gehra sannaata hai.
Shor thame toh shayad sadiyaan beet chuki hain,
ab tak lekin sehma sehma sannaata hai.
ab tak lekin sehma sehma sannaata hai.
Kis se bolun ye toh ek sehra hai jahaan par,
main hun ya phir goonga behra sannaata hai.
main hun ya phir goonga behra sannaata hai.
Jaise ek toofaan se pehle ki khamoshi,
aaj meri basti mein aisa sannaata hai.
aaj meri basti mein aisa sannaata hai.
Nayi sehar ki chaap na jaane kab ubhregi,
chaaron jaanib raat ka gehra sannaata hai.
chaaron jaanib raat ka gehra sannaata hai.
Soch rahe ho socho lekin bol na padna,
dekh rahe ho shehar mein kitna sannaata hai.
dekh rahe ho shehar mein kitna sannaata hai.
Mehv-e-khwaab hain saari dekhne wali aankhen,
jaagne wala bas ek andha sannaata hai.
jaagne wala bas ek andha sannaata hai.
Darna hai toh anjaani aawaaz se darna,
ye toh ‘aanis’ dekha-bhaala sannaata hai. !!
ye toh ‘aanis’ dekha-bhaala sannaata hai. !!
Woh Kuchh Gehri Soch Mein Aise Doob Gaya Hai..
Woh kuchh gehri soch mein aise doob gaya hai,
baithe baithe nadii kinaare doob gaya hai.
baithe baithe nadii kinaare doob gaya hai.
Aaj ki raat na jaane kitni lambi hogi,
aaj ka sooraj shaam se pehle doob gaya hai.
aaj ka sooraj shaam se pehle doob gaya hai.
Woh jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha,
paani paani kehte kehte doob gaya hai.
paani paani kehte kehte doob gaya hai.
Mere apne andar ek bhanwar tha jis mein,
mera sab kuchh saath hi mere doob gaya hai.
mera sab kuchh saath hi mere doob gaya hai.
Shor toh yun utha tha jaise ek toofaan ho,
sanaatte mein jaane kaise doob gaya hai.
sanaatte mein jaane kaise doob gaya hai.
Aakhiri khwaahish poori kar ke jeena kaisa,
aanis’ bhi saahil tak aa ke doob gaya hai. !!
aanis’ bhi saahil tak aa ke doob gaya hai. !!
Aanis Moeen,Aankhen Shayari,Aansoo/Ashk Shayari,Aarzoo Shayari,Abdul Hamid Adam,Ada Jafri,Adeeb Saharanpuri,Ahmad Faraz,Aitbaar Shayari,Aitbar Sajid,Akbar Allahabadi,Allama Iqbal,Amjad Islam Amjad,Bachpan Shayari,Barsaat/Baarish Shayari,Bashir Badr,Bekhud Dehlvi,Bewafa Shayari,Chaand Shayari,Chiraagh Shayari,Dard Bhari Shayari,December Shayari,Depth Poems,Desert Poems,Dhokha Shayari,Dosti Shayari,Dua Shayari,Dukh shayari,Dushyant Kumar,Ehsaas Shayari,Ejaz Popular Meeruthi,English Poems Poetry,Faiz Ahmed Faiz,Fakhira Batool,Fareb Shayari,Fariyaad Shayari,Fear Poems,Firaq Gorakhpuri,Four Lines Poetry,Freedom Poems,Gaaon Poetry,Gardish Shayari,Ghazals,Ghum Shayari,Gulaab Shayari,Gulzar,Habib Jalib,Hafeez Jalandhari,Heartbreak Poems,Heaven Poems,Hijr Poetry,Hindi Shayari,Ibn-e-Insha,Intezaar Poetry,Jaun Eliya,Javed Akhtar,Jigar Moradabadi,Judaai Shayari,Kaifi Azmi,Khamoshi Shayari/ Shair,Khuda Poetry,Khushboo Shayari,Khwaab shayari,Knowledge Poems,Love Shayari,Maa Shayari,Maazi Shayari,Manzil Shayari,Mausam Shayari,Maya Angelou,Mazahiya Shayari,Meer Anees,Meer Taqi Meer,Midhat ul Akhtar,Mind Poems,Mirza Ghalib,Miss You Poems,Mohsin Naqvi,Mohsin Zaidi,Mulaqaat Shayari,Munawwar Rana,Munir Niazi,Naraaj-Khafa Shayari,Naseeb Poetry,Nasha Shayari,Nasir Kazmi,Nazms,Neend Shayari,Nida Fazli,Noshi Gilani,Painful Poems,Pardes Poetry,Parveen Shakir,Patthar Shayari,Phool Shayari,Poets,Qabar Shayari,Qateel Shifai,Raat Shayari,Rahat Indori,Rasta Shayari,Saaya Shayari,Sad Love Poems,Sad Poetry,Safar Shayari,Saghar Siddiqui,Sahir Ludhianvi,Samandar Shayari,Sandeep Bhutani,Shaam Shayari,Shahryar,shakeel azmi ???? ????,Shehar Shayari,Sooraj Shayari,Sudarshan Faakir,Tanhaai shayari,Tasweersad ghazal shayari heart touching,sad ghazals,sad ghazal songs,sad ghazal in urdu,sad ghazal sms,very sad ghazal,urdu ghazal,ghazal poetry,Truth Poems,Two Line Poetry,Umeed Shayari,Urdu Unknown Poet,Wada Shayari,Wafa Shayari,Wajida Tabassum,Wasi Shah,Wasim Barelvi,Yaad Shayari,Zaat Poetry,Zakhm Shayari,Zindagi Shayari,Zulf Shayari
No comments:
Post a Comment