Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khyaal Aata Hai by Sahir Ludhianvi
Kabhi kabhi mere dil mein khyaal aataa hai..
Ki zindagi teri zulfon ki naram chhaaon mein,
guzrne paati toh shaadaab ho bhi saktii thi.
Ye teeragi jo meri zeest ka muqaddar hai,
teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi.
guzrne paati toh shaadaab ho bhi saktii thi.
Ye teeragi jo meri zeest ka muqaddar hai,
teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi.
Ajab na tha ki main begaana-e-aalam ho kar,
teri jamaal ki raanaaiyon mein kho rehta.
Tera gudaaz badan, teri neembaaz aankhen
inhin haseen fasaanon mein mahv ho rehta.
teri jamaal ki raanaaiyon mein kho rehta.
Tera gudaaz badan, teri neembaaz aankhen
inhin haseen fasaanon mein mahv ho rehta.
Pukaarti mujhe jab talkhiyaan zamaane ki,
tere labon se halaavat ke ghoont pee leta.
Hayaat cheekhti phirti barhana- sar aur main,
ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta.
tere labon se halaavat ke ghoont pee leta.
Hayaat cheekhti phirti barhana- sar aur main,
ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta.
Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai..
ki tu nahin.. tera ghum, teri justajoo bhi nahin.
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise,
isey kisi ke sahaare ki aarzoo bhi nahin.
ki tu nahin.. tera ghum, teri justajoo bhi nahin.
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise,
isey kisi ke sahaare ki aarzoo bhi nahin.
Zamaane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale,
guzar reha hun kuchh anjaani rah-guzaaron se.
Muheeb saaye meri simt badhte aate hain,
hayaat-o maut ke purhaul khaarzaaron se..
guzar reha hun kuchh anjaani rah-guzaaron se.
Muheeb saaye meri simt badhte aate hain,
hayaat-o maut ke purhaul khaarzaaron se..
Na koi jaada, na manzil, na roshni ka suraagh
bhatak rahi hai khalaaon mein zindagi meri.
Inhi khalaaon mein reh jaaunga kabhi kho kar,
main jaanta hun meri hum-nafas magar yun hi..
bhatak rahi hai khalaaon mein zindagi meri.
Inhi khalaaon mein reh jaaunga kabhi kho kar,
main jaanta hun meri hum-nafas magar yun hi..
Kabhi kabhi mere dil mein khyaal aata hai …….
Shabnam Ke Aansoo Phool Par, Ye Toh Wahi Qissa Hua..
Bashir Badr Poetry
Shabnam ke aansoo phool par ye toh wahi qissa hua,
aankhen meri bheegi hui chehra tera utra hua.
aankhen meri bheegi hui chehra tera utra hua.
Ab in dinon meri ghazal khushboo ki ek tasveer hai,
har lafz ghunche ki tarah khil kar tera chehra hua.
har lafz ghunche ki tarah khil kar tera chehra hua.
Shayad usey bhi le gaye achchhe dinon ke qaafile,
is bagh mein ek phool tha teri tarah hansta hua.
is bagh mein ek phool tha teri tarah hansta hua.
Har cheez hai bazaar mein is haath de us haath le,
izzat gayi, shohrat gayi, rushwa hue, charcha hua.
izzat gayi, shohrat gayi, rushwa hue, charcha hua.
Mandir gaye, masjid gaye, peeron faqeeron se mile,
ek us ko paane ke liye kya kya kiya, kya kya hua.
ek us ko paane ke liye kya kya kiya, kya kya hua.
Anmol moti pyar ke duniya chura kar le gayi,
dil ki haveli mein koi darwaza tha toota hua.
dil ki haveli mein koi darwaza tha toota hua.
Barsaat mein deewar-o-dar ki saari tahreeren mitin,
dhoya bahut mita nahin taqdeer ka likha hua. !!
dhoya bahut mita nahin taqdeer ka likha hua. !!
Woh Meri Qasam Leta Nahin Ilzaam Samajh Kar..
Woh meri kasam leta nahin ilzaam samajh kar,
aur de deta hai apni kasam inaam samaj kar..
aur de deta hai apni kasam inaam samaj kar..
Woh jaanta hai mujhe uss se kitni mohabbat hai,
phir bhi guftgoo karta hai anjaan samajh kar..
phir bhi guftgoo karta hai anjaan samajh kar..
Maine usey apne dil ki dhadkan mein basaaya hai,
aur woh dil mein rakhta hai mujhe mehmaan samajh kar..
aur woh dil mein rakhta hai mujhe mehmaan samajh kar..
Agar usey hum se mohabbat nahin toh na sahi,
magar kyon ilzaam deta hai gumnaam samajh kar..
magar kyon ilzaam deta hai gumnaam samajh kar..
Maine apni saari khushiyaan uss ke naam kar di,
aur woh humen pyaar karta hai ehsaan samajh kar. !!
aur woh humen pyaar karta hai ehsaan samajh kar. !!
Zindagi Na Milegi Dobara [ZNMD] Poem
Ek baat honthon tak hai jo aayi nahin,
Bas aankhon se hai jhaankti..
Tum se kabhi.. Mujh se kabhi,
Kuchh lafz hain woh maangti…
Jin ko pehan ke honthon tak aa jaaye woh,
Aawaaz ki baahon mein baahen daal ke ithlaaye woh,
Lekin jo ye ek baat hai..
Ehsaas hi ehsaas hai !
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti,
Khushboo jo be-aawaaz hai,
Jis ka pataa tum ko bhi hai..
Jis ki khabar mujh ko bhi hai..
Duniya se bhi chhupta nahin !

Ye jaane kaisa raaz hai …!!
Kahan Kisi Ki Himayat Mein Mara Jaunga..
Kahan kisi ki himaayat mein maara jaaunga, main kam shanas murrwwat mein maara jaaunga.
Main maara jaaunga pehle kisi fasaane mein,
phir uss ke baad haqeeqat mein maara jaaunga.
Main bargalaaya hua lad raha hun apne khilaaf,
main apne shauq-e shahaadat mein maara jaaunga.
Mujhe bataaya hua hai meri chhathi hiss ne,
main apne ehd-e qilaafat mein maara jaaunga.
Mera ye khoon mere dushmanon ke sar ho gaya,
main apne doston ki hiraasat mein maara jaaunga.
Yahan kamaan uthaana meri zaroorat hai,
wagarna main bhi sharaafat mein maara jaaunga.
Faraagh mere liye maut ki alaamat hai,
main apni pehli faraaghat mein maara jaaunga.
Main chup raha ton mujhe maar dega mera zameer,
gawaahi di toh adaalat mein maara jaaunga.
Bas ek sulah ki soorat mein jaan bakhshi hai,
kisi bhi doosri soorat mein maara jaaunga.
Nahin marunga kisi jung mein ye soch liya hai,
main ab ki baar mohabbat mein maara jaaunga. !! |
Patthar Tha Magar Barf Ke Golon Ki Tarah Tha..
Patthar tha magar barf ke golon ki tarah tha,
ek shakhs andheron mein ujaalon ki tarah tha.
ek shakhs andheron mein ujaalon ki tarah tha.
Khwaabon ki tarah tha na khyaalon ki tarah tha,
woh ilm-e riyaazi ke sawaalon ki tarah tha.
woh ilm-e riyaazi ke sawaalon ki tarah tha.
Uljha hua aisa ki kabhi hall ho na paaya,
suljha hua aisa ki misaalon ki tarah tha.
suljha hua aisa ki misaalon ki tarah tha.
Woh mil toh gaya tha magar apna hi muqaddar,
shatranj ki uljhi hui chaalon ki tarah tha.
shatranj ki uljhi hui chaalon ki tarah tha.
Woh rooh mein khushboo ki tarah ho gaya tahleel,
jo door bahut chaand ke haalon ki tarah tha. !!
jo door bahut chaand ke haalon ki tarah tha. !!
Ab Khushi Hai Na Koi Dard Rulaane Wala..
Ab khushi hai na koi dard rulaane wala,
hum ne apna liya har rang zamaane wala.
hum ne apna liya har rang zamaane wala.
Ek be-chehra si ummeed hai chehra chehra,
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala.
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala.
Uss ko rukhsat toh kiya tha mujhe maloom na tha,
sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala.
sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala.
Door ke chaand ko dhoondo na kisi aanchal mein,
ye ujaala nahin aangan mein samaane wala.
ye ujaala nahin aangan mein samaane wala.
Ek musaafir ke safar jaisi hai sab ki duniya,
koi jaldi mein koi der se jaane wala. !!
koi jaldi mein koi der se jaane wala. !!
Aisi Hi Sard Shaam Thi Woh Bhi..
Aisi hi sard shaam thi woh bhi,
jab woh mehndi rachaaye haathon mein,
apni aahat ke khauf se larazaan,
soorkh aanchal mein munh chhipaaye hue,
apne khat mujh se lene aayi thi..
jab woh mehndi rachaaye haathon mein,
apni aahat ke khauf se larazaan,
soorkh aanchal mein munh chhipaaye hue,
apne khat mujh se lene aayi thi..
Uss ki sehmi hui nigaahon mein,
kitni khamosh iltizaayen thi..
uss ke chehre ki zard rangat mein,
kitni majburiyon ke saaye the..
mere haathon se khat pakadte hi,
jaane kya soch kar achaanak woh,
mera shaana pakad kar roi thi..
uss ke yaqoot rang honthon ke,
kampkapaate hue kinaaron par,
sat beete hue zamaane the,
saikadon ankahe fasaane the..
kitni khamosh iltizaayen thi..
uss ke chehre ki zard rangat mein,
kitni majburiyon ke saaye the..
mere haathon se khat pakadte hi,
jaane kya soch kar achaanak woh,
mera shaana pakad kar roi thi..
uss ke yaqoot rang honthon ke,
kampkapaate hue kinaaron par,
sat beete hue zamaane the,
saikadon ankahe fasaane the..
Sard shaamon mein der tak aksar,
jab ye manzar dikhai deta hai..
ek lamha, hinaai haathon se..
mujh ko apni taraf bulata hai..
humnashin rooth kar na ja mujh se ..!!
jab ye manzar dikhai deta hai..
ek lamha, hinaai haathon se..
mujh ko apni taraf bulata hai..
humnashin rooth kar na ja mujh se ..!!
– Amjad Islam Amjad
Aainon Mein Aks Na Hon Toh Hairat Rehti Hai..
Aankhen Shayari, Amjad Islam Amjad, Ghazals, Khushboo Shayari, Mausam Shayari, Phool Shayari, Raat Shayari, Saaya Shayari, Sad Poetry, Shehar Shayari, Yaad Shayari
Aainon mein aks na hon toh hairat rehti hai,
jaise khaali aankhon mein bhi wehshat rehti hai.
jaise khaali aankhon mein bhi wehshat rehti hai.
Har dum duniya ke hungaame ghere rakhte the,
jab se tere dhyaan lage hain fursat rehti hai.
jab se tere dhyaan lage hain fursat rehti hai.
Karni hai toh khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat,
baat adhoori reh jaaye toh hasrat rehti hai.
baat adhoori reh jaaye toh hasrat rehti hai.
Shehar-e sukhan mein aisa kuchh kar izzat ban jaaye,
sab kuchh mitti ho jaata hai izzat rehti hai.
sab kuchh mitti ho jaata hai izzat rehti hai.
Bante bante dheh jaati hai dil ki har taameer,
khwaahish ke behroop mein shayad qismat rehti hai.
khwaahish ke behroop mein shayad qismat rehti hai.
Saaye larazte rehte hain shehron ki galyion mein,
rehte the insaan jahan ab dehshat rehti hai.
rehte the insaan jahan ab dehshat rehti hai.
Mausam koi khushboo le kar aate jaate hain,
kya kaya hum ko raat gaye tak wehshat rehti hai.
kya kaya hum ko raat gaye tak wehshat rehti hai.
Dhyaan mein mela sa lagta hai beeti yaadon ka,
aksar uss ke ghum se dil ki sohbat rehti hai.
aksar uss ke ghum se dil ki sohbat rehti hai.
Phoolon ki takhti par jaise rangon ki tehreer,
lauh-e-sukhan par aise ‘amjad’ shohrat rehti hai. !!
lauh-e-sukhan par aise ‘amjad’ shohrat rehti hai. !!
Hum Pe Guzre The Ranj Saare Jo Khud Pe Guzre Toh Log Samjhe..
Hum pe guzre the ranj saare jo khud pe guzre toh log samjhe,
jab apni apni mohabbaton ke azaab jhele toh log samjhe.
jab apni apni mohabbaton ke azaab jhele toh log samjhe.
Woh jin darakhton ki chhaon mein se musaafiron ko utha diya tha,
unhi darakhton se agle mausam jo phal na utre toh log samjhe
unhi darakhton se agle mausam jo phal na utre toh log samjhe
Uss ek kachchi si umar waali ke falsafe ko koi na samjha,
jab uss ke kamre se laash nikli khatoot nikle toh log samjhe.
jab uss ke kamre se laash nikli khatoot nikle toh log samjhe.
Woh gaaon ka ek zaeef deh’kaan sadak ke baNne pe kyon khafa tha,
jab uss ke bachche jo shehar ja kar kabhi na laute toh log samjhe. !!
jab uss ke bachche jo shehar ja kar kabhi na laute toh log samjhe. !!
Poochha Kisi Ne Haal Kisi Ka Toh Ro Diye..
Poochha kisi ne haal kisi ka toh ro diye,
paani mein aqs chaand ka dekha toh ro diye.
paani mein aqs chaand ka dekha toh ro diye.
Naghma kisi ne saaz pe chheda toh ro diye,
ghuncha kisi ne shaakh se toda toh ro diye.
ghuncha kisi ne shaakh se toda toh ro diye.
Udta hua ghubaar sar-e-raah dekh kar,
anjaam hum ne ishq ka socha toh ro diye.
anjaam hum ne ishq ka socha toh ro diye.
Baadal fiza mein aap ki tasweer ban gaye,
saaya koi khyaal se guzra toh ro diye.
saaya koi khyaal se guzra toh ro diye.
Rang-e-shafaq se aag shagufon mein lag gayi,
saghar’ humare haath se chhalka toh ro diye. !!
saghar’ humare haath se chhalka toh ro diye. !!
– Saghar Siddiqui
Uss Ke Aansoo Hi Bataate The Na Ab Lautega Woh..
Uss ke aansoo hi bataate the na ab lautega woh,
iss se pehle toh bichhadte waqt yun rota na tha …!
iss se pehle toh bichhadte waqt yun rota na tha …!
Aur Chupke Chupke Ro Lena..
Jab seena ghum se bojhal ho
aur yaad kisi ki aati ho
tab kamre mein band ho jana
aur chupke chupke ro lena..
Jab aankhen baaghi ho jaayen
aur yaad mein meri bhar aayen
phir khud ko dhokha mat dena
aur chupke chupke ro lena..
Jab palken karb se moondi ho
aur sab samjhen tum sote ho
tab munh pe takiya rakh lena
aur chupke chupke ro lena..
Ye duniya zaalim duniya hai
ye baat bahut phailaayegi
tum saamne sab ke chup rehna
aur chupke chupke ro lena..
Jab baarish chehra dho daale
aur ashq bhi boonden lagti ho
woh lamha hargiz mat khona
aur chupke chupke ro lena …!!
aur yaad kisi ki aati ho
tab kamre mein band ho jana
aur chupke chupke ro lena..
Jab aankhen baaghi ho jaayen
aur yaad mein meri bhar aayen
phir khud ko dhokha mat dena
aur chupke chupke ro lena..
Jab palken karb se moondi ho
aur sab samjhen tum sote ho
tab munh pe takiya rakh lena
aur chupke chupke ro lena..
Ye duniya zaalim duniya hai
ye baat bahut phailaayegi
tum saamne sab ke chup rehna
aur chupke chupke ro lena..
Jab baarish chehra dho daale
aur ashq bhi boonden lagti ho
woh lamha hargiz mat khona
aur chupke chupke ro lena …!!
Zindagi Se Badi Koi Saza Hi Nahin..
Zindagi se badi koi saza hi nahin,
aur kya jurm hai pata hi nahin.
aur kya jurm hai pata hi nahin.
Jadd do chaandi mein chaahe sone mein,
aaina jhooth bolta hi nahin.
aaina jhooth bolta hi nahin.
Sach ghate ya badhe toh sach na rahe,
jhooth ki koi intehaa hi nahin.
jhooth ki koi intehaa hi nahin.
Itne hisson mein bat gaya hun main,
mere hisse mein kuchh bacha hi nahin. !!
mere hisse mein kuchh bacha hi nahin. !!
Keywords:- urdu ghazal,ghazal songs,sad ghazals heart touching,ghazal artists,urdu ghazal 2018,indian ghazal,ghazal poetry,hindi ghazal
No comments:
Post a Comment